Netmeds app kya hai। Netmeds app se medicine kaise order kare। Netmeds me account kaise create kare?

 Netmeds app kya hai?

Netmeds India ka sabse purana pharmacies mein se ek hai jo 1914 ke baad logon ko online quality medicine provide karta hai.

Netmeds ne health care industry mein 100 year se safalta prapt kiya hai.



 Netmeds India ka pahla online pharmacy hai. 

Netmeds medicine ko sirf town mein hi nahin balki village mein bhi logon ko online medicine provide karta hai.

Netmeds me vitamin, diet/ fitness se related herbal product, pain reliever, mother care product, beauty care product, etc se related medicine order kar sakte hain.


Netmeds ka mission kya hai?

Netmeds ka mission India ke logon ko unki daily life ki medicine ko bahut hi kam price mein aur aasani se pahunchana hai.

Iske liye aapko sabse pahle netmeds app download karna hoga.

Netmeds ko download karne ke baad aap India mein kahin bhi kisi bhi time medicine ko order karke ghar per mangwa sakte hain. Yah Ghar baithe medicine deliver karta hai. 


Netmeds app ko download kaise kren?

Netmeds ko download karne ke liye sabse pahle aapko playstore me chle jana hai aur search baar me Netmeds type kar dena hai.

👉 Type karne ke baad Netmeds ka interface aa jaega apko install par click kar dena hai. 


👉 Install hone ke baad open par click kar dena hai.

Is tarah se aapka Netmeds app download ho jayga.

Aap niche diye 👇 gaye link per click karke bhi is app ko download kar sakte hain.

CLICK HERE TO DOWNLOAD Netmeds app


Netmeds app ke features kya hai?

Netmeds healthcare app ke help se aap apni medicine ko order kar sakte hain, doctor se online consult kar sakte hain, medicine ke item ko dekh sakte hain aur apne friend ko invite karke paise kama sakte hain.


👉 Iske dwara aap online medicine purchase kar sakte hain.

👉Hume Bharat mein kisi bhi sthan per medicine provide karane wali Netmeds per proud karna chahie.


👉 Netmeds ko download karke bus kuchh button ko type karke apni sabhi medicine ko bahut hi kam time mein aur kam price mein mangwa sakte hain.

👉 Netmeds aapko 24 hour aur 7 days service provide karta hai. 

👉 Netmeds ke special feature hai ki aap India mein kahin bhi kisi bhi samay acche doctor se call ya chatting kar sakte hain.


👉Iske dwara aap book pathology, radiology test, full body health checkup package, ECG, diabetes, kidney/ liver function test etc sabhi available hai.

 Aap apne medical report ko online bhi dekh sakte hain.


Netmeds me account kaise create kare?

Sabse pahle to aapko yah app download kar lena hai. uske baad open par click kar dena hai.

 Click karne ke bad aapko hindi/ English/tamil language mein se ek language ko select karna hai.

Uske bad continue par click kar dena hai uske baad skip aur done par click kar dena hai.

Uske bad aapke samne ek new interface aa jaega jismein aapko mobile number yah email aur password dalkar submit per click karna hai.


Aur agar aap new user hai to aapko create new account per click karke account banaa lena hai.


 Create new account par click karne per aapke samne new interface open ho jaega jisme aapko first name, last name type kar dena hai.

👉 Uske bad gender select kar lena hai.

Uske bad apna email id, phone number, date of birth aur password dalkar submit per click kar dena hai.


 Uske baad  Netmeds ka dashboard open ho jaega is tarah se aap Netmeds me account create kar sakte hain.

Netmeds se medicine kaise order karen?

👉 Aapko jo bhi medicine Lena hoga uska naam Netmeds ke dashboard ke search bar mein type kar dena hai.

 👉Uske baad aap dekh sakte hain ki vah medicine Netmeds mein available hai ya nahin.


👉Agar available hoga to aapke samne us medicine ka image aa jayga.

👉Agar aap pahle se use kar rahe honge to aap chemical composition ko milakar dekh sakte hain ya pure hai ya duplicate.


 👉Uske baad aapko check delivery per click karke check kar lena hai ki aapke address par delivery hoga ya nahin hoga aur agar hoga to kitne din mein hoga. 


👉Aapko screen par drug information likha milega jis per click karke aap us medicine ka advantage or disadvantage/ kis disease mein khana hai kismein nahin / kya warning diye gaye hain yah sabhi information aapko drug information kar pad click karke mere jayega.


👉Agar aap 1000 se jyada ka medicine lenge to koi delivery charge nahin dena padega. 


👉Medicine order karne ke liye aapko doctor dwara diye gye prescription ki image bhi lagani hai.

 👉Agar aisa nahin karte hain to 3 se 4 hour mein main aapko call aaega aur reason pucha jayga ki yah medicine kyon lena hai, kis disease ke liye lena hai, uske bad aapko address, pin code phone number dalkar confirm kar dena hai order confirm ho jaega.


👉 Aap Paytm, Amazon pay UPI, etc ke through payment kar sakte hain.

 Amazon pay UPI se payment karne per kafi discount milta hai.


👉 Netmeds ki taraf se promotional offer bhi diye jaate hain jismein aapko discount mil sakta hai.


👉 Netmeds mein aap offer ki option per click karke bahut sara medicine ko kam price mein prapt kar sakte hain.


Previous
Next Post »

1 comments:

Click here for comments
seoservise
admin
June 17, 2021 at 6:14 PM ×

I’ve been surfing online more than 5 hours today, yet I never found any interesting article like yours without a doubt. It’s pretty worth enough for me. Thanks... drug drug interactions

Congrats bro seoservise you got PERTAMAX...! hehehehe...
Reply
avatar

Post kaisa lga jarur btay ConversionConversion EmoticonEmoticon