Facebook se video kaise download karen?

Hello dosto,

                  Mai Ranjan Gupta aap sabhi logo ka hmari website Rasonet me tahe dil se swagat karta hoon. Aaj ki post mein aap logon ko Facebook se video kaise download karne ka tarika btane wala hun.

Facebook se video kaise download Karen


To doston, sabse pahle hum log jaan lete hain ki Facebook App kya hai? uske bad ham janenge ki Facebook se video download kaise karen?


Facebook app kya hai?


 Hum sabhi log Facebook ke naam se to acchi tarah parichit hai.

👉 Iss app hai jiske dwara ham duniya Ki kisi bhi kone me apni baato ko pahuncha sakte hain.

Yah ek social networking site hai.

👉 Facebook app ko 28 may 2020 tak 5 billion se adhik log download kar chuke hain.


Facebook ye lagbhag sabhi phone mein chalta hai.

👉 Generally,  ham sabhi log Facebook ka use apne friend, family member aur relative se chatting karne ke liye, images share karne ke liye, game khelne karte, aur bhi bahut sare chijo ke liye karte hain.


👉Facebook ke madhyam se ham bahut sare group se jude sakte hai hai aur bahut kuch jaan sakte hain.


 👉 Is per ham apni picture, videos, memorable moment ko share kar sakte hain.


👉 Iske madhyam se ham up to date rahte hain.




👉 Hamare society, hamare country mein kahan kya ho raha hai yah sab hamen iske dwara pata chal jata hai.

Doston, ab ham log jaan lete hain ki Facebook se video download kaise kiya jata hai aakhir sahi aur aasan tarika kya hai?
To chaliye hum use jaan lete hain.


Facebook se video kaise download karen?


👉 Facebook se video download karne ke liye sabse pahle aapko apne cellphone se mein account ko login kar lena hai.


👉 Log in karne ke baad screen per kuchh is👇 prakar ka interface aajaega.

Facebook se video kaise download Karen


👉 Uske baad aapko home page per chale jana hai aur jo video ko download karna hai use select kar lena hai.


👉 Maan lete hai maine ek video ko select kar liya hai.

👉 Jaisa ki aap niche 👇 diye gaye interface mein dekh sakte hain.

Facebook se video kaise download Karen


👉 Selected video per aapko right side mein 3 dot milega.

 Aapko uss per click kar dena hai.

👉 Click karne per aapko download, save-video, post, snooze, hide, why am I seeing this post ?, find the support order report poste, turn on notification for this post and copy link likha milega jaisa ki aap niche 👇 gaye interface mein dekh sakte hain.

Facebook se video kaise download Karen


👉 Ab aapko copy link click kar dena hai. Ab aapke dwara select kiye gaye video ka copy link ho jaega.

👉 Next step, ab aapko Chrome browser open kar lena hai aur getvid likh kar search kar lena hai.

👉 Jaisa ki aap niche 👇diye gaye interface mein dekh sakte hain.


Facebook se video kaise download Karen


👉 Ab aapko sabse upar mein Facebook video downloader - download Facebook videos online likha milega jaisa ki aap niche diye gaye interface mein dekh sakte hain.

Facebook se video kaise download Karen


👉 Aapko us per click kar dena hai. Click karne per aapke samne kuchh is 👇 prakar ka interface aa jaega.

Facebook se video kaise download Karen


👉 Aapko Facebook se video download karne ke liye  download ke upar aapke dwara select kiye gaye video ke link ko paste kar dena hai.

👉 Aur uske niche download likha milega aapko uspar click  kar dena hai.


👉 Download per click karne per aapko 2 option milega download in normal quality aur 2nd download audio only.

Jaisa ki aap niche👇 diye gye image mein dekh sakte hain.

Facebook se video kaise download Karen


👉 Aapko download in a normal quality per click kar dena hai.

 Aapke samne ek new page open ho jaega Jaisa ki aap niche de👇sakte hain.

Facebook se video kaise download Karen

👉 Aapko screen ka right side mein three dot milega aapko us per click kar dena hai.

 Click karne per aapke samne kuchh is prakar ka interface aa jaega.


Facebook se video kaise download Karen


👉 Aapko download per click karne per aapke phone mein notification centre mein notification aa jaega.

 Jaisa ki aap niche👇 diye gaye interface mein dekh sakte hain.


Facebook se video kaise download Karen


👉 Ab aapka video download ho chuka hai.

Ab aapko dekh lena hai ki sach mein video download hua hai ki nahin.

 Iske liye aapko apne phone ki gallery yah photo me chale jana hai aur download mein dekh lena hai ki video download hua hai ki nahin.

👉 To dosto, aap niche👇 dekh sakte hain ki humara video download ho chuka hai.

Facebook se video kaise download Karen


 Ab aap jab chahe apne pasandida video ko download karke kabhi bhi kisi bhi time bina kisi problem ke dekh sakte hain.

👉To dosto, aaj ke post me maine aapko Facebook app kya hai? Aur Facebook se video download karne ka sabse aasan tarika ke bare mein bataya.

Mujhe ummid hai ki aap ko is post se related sari jankari mil gai hogi.

Aasha karta hun ki aapko ye post pasand aaya hoga.

 Agar aapke man me koi question ho to jarur puchyega.

Mai puri koshish karunga ki apke question ka answer de saku.

Dosto, agar aapko ye post acha lga ho to please comment, share and follow jarur kijiyega.

Thanks.

क्या आपको भी पतलेपन का सामना करना पड़ता है? अगर हां तो जरूर पढ़ें " Healthy diet for gaining weight".

क्या आपको मोमोज बनाना आता है? अगर नहीं तो जरूर पढ़ें ये पोस्ट।

Previous
Next Post »

Post kaisa lga jarur btay ConversionConversion EmoticonEmoticon