Vmate app kya hai? Vmate app ke features kya hai? Vmate app par account kaise bnay? Vmate app par video kaise bnay?

Namaskar,

Mai Ranjan Gupta aap sabhi logo ka Rasonet me swagat krta hun.

 Aaj ke is post me aap sabhi ko Vmate app se related kuch information dunga Jo ki aap sabhi logo ke liye kafi important hoga. 

Waise ye post un sabhi logo ke liye hai Jo Vmate app ke bare me nahi jante hai.

To aaiye ab hm dkhte hai ki Vmate app Kya hai? Vmate app see paise kaise kmay? Vmate app par apna account kaise create kren?


Vmate app kya hai?


Hmlog jante hai ki Vmate app ek type ka short video editor app hai.



 Iske madad se aap bahut hi easy way me apne video ko bna skte hai. 

Yeh ek social media app ke jaise hi kaam krta hai.

Vmate app me aap 25 second se lekar 60 second tak ki video ko bahut hi asani se bna sakte hai or apne andar chipe talent ko dunia ke samne dikha sakte hai. 

Vmate app apne aap me bahut hi acha app hai. 

Vmate app ke jaise bahut sare or bhi aap hai jo playstore yaa app store par asani se ublabdh hai jaise TikTok, Vigovideo, Helo app, Like.

Unsabhi app me bahut sare category hote hai kaise beauty and style, gaming, sport, learning, Talent.

Aap in post ko jarur padhe:-

Coronavirus kya hai? Isse bachne le upay kya hai?

Doubtnut App Kya hai? Study me kaise help krta hai?

RozDhan app kya hai?



Ab hum Vmate app ke features ke bare me baat karte hai.


Vmate app ke features kya hai?


👉 Vmate app ek talent ko nikharne wala  free app hai Jo playstore par ublabdh hai.

👉 Iski madad se aap short video bna sakte hai.

👉 Iski madad se aap custom clips, sync, duet and trading effect wali video ko asani se bna sakte hai.

👉 Vmate app me bahut sare language me aate hai jaise hindi, bengali, marathi, telgu, Gujarati, Punjabi, odia, english, malayalam  jo jis language me interested hai wo us language me bna sakte hai. 

👉 Is app me video bna kar asani se paise, gift kma sakte hai.

👉 Is app me apko face filter, music, sticker is tarah ke bahut sare option aate hai. Aap apni pasand ke anusar select kar skte hai.


Vmate app download kaise kren?


 Vmate app aaj ke date me bahut hi popular app ho chuka hai isliye yeh app playstore or app store par asani se mil jata hai. Is app ko 100M+ logo dwara install kiya ja chuka hai.

👉 Aap bhi is app ko download krke fayda utha sakte hai. Ise download krne ke liye apko sabse phle apna playstore open krna hai.


👉 playstore open krne ke baad search box me Vmate app type krke search krna hai fir install par click krke install krna hai.

Vmate app me apna account kaise create kren?


Sabse phle to apko is app ko install krna hai uske baad open par click kar lena hai.


Open par click karne ke baad apko left side me upar ki taraf ek icon milega us par click krna hai.



Wha apko 3 option milega Facebook, Gmail, mobile number aap kisi se bhi login Kar skte hai. 

Agar aap mobile number se login krna chahte to wha mobile number par click karke apna mobile number daale.

Fir apke usi number par ek verification code jayga use wha daale.

Is tarah se kuch hi step ko follow krke aap Vmate app par apna account bna skte hai.

Ye jarur padhe:-

Respiratory system kya hai?

Chandrayaan-2

Vmate app se paise kaise kmay?

Vmate app se paise kmane ke liye niche kuch tips and tricks diya gya hai.

 Ise aap jarur padhe taki apko kuch nya information mile aur aap use aasani se upyog Kar ske.

Friends ye baat to real hai ki aaj ke date me jitne bhi short video editor app hai unme points yaa coins jarur hi milte hai.


Thik usi tarah Vmate app me bhi coins milte hai.

Apko points yaa coins collect karne ke baad  Redeem karna hota hai.

Isme aap paise ko apne bank account ya PAYTM me transfer to nahi kar skte hai but aap us points yaa coins se bahut sare gift Vmate app ki or se le sakte hai.


Ab humlog jaynge ki Vmate app par video kaise bnaya jata hai?

Vmate app par video kaise bnay?


Vmate app par video bnana bahut hi asaan hai. Agar aap apne talent ko dunia ke samne dikhana chahte hai to is app par video jarur bnay.

Niche diye gye steps ko follow karke aap apne interested field me video bna sakte hai.

👉 Sabse phle to apko Vmate app open karna hai aur apko niche diye gye red colour ke video ke icon par click karna hai. 

👉 Ab apke samne video bnane ke liye bahut sara option aayga jaise stickers, music ,face filter.

Aap apne choice ke according diye gye option me se select kar skte hai.


👉 Ab apko tap button par click karna hai ab video shoot hona start ho chuka hai.


👉 Video shoot hone ke baad wha par tick ka symbol show hoga us par click kren.

Fir apko apne shoot kiye gye video ka title, thumbnail select karna hai aur apni video me #tag daal kar save and post par click karna hai.

Ab aap apne dwara shoot kiye gye video ko dekh sakte hai or edit bhi kar sakte hai.

Apko ye post kaisa lga comment karke jarur btay. Hmare website ke aur  bhi post pdhne ke liye follow jarur kren.

Thanks.

Previous
Next Post »

Post kaisa lga jarur btay ConversionConversion EmoticonEmoticon