Hello dosto, Mai Ranjan Gupta aap sabhi logo ka Rasonet me swagat karta hun.
Aaj ke is post me mai apko btane wala hun ki "Face se pimple kaise hatay".
Jaisa ki humlog jante hai ki sabhi logo ki chahat hoti hai ki mai sundar dikhu.
Aaj Kal sabhi log beautiful dikhna bahut pasand karte hai.
Jab hume pta chalta hai ki hum ache dikh rahe hai to andar se level of confidence kafi badh jata hai. Hum kisi bhi baat ko without any hesitation kisi ke samne rakh sakte hai.
But jab hum puri tarah se acha feel nahi karte hai to hume apni baat kisi se share karne me hesitation feel hota hai.
Kisi bhi party me jana pasand nahi karte hai, kisi important person se milna ho us time bahut jada sochne lagte hai.
Kya apke sath bhi aesa hota hai?
Pimple bhi un problem me se ek hai jo kafi
chinta ka vishay hai, waise to pimple har kisi ko ek fix age me nikalna start ho jata hai ye ek normal baat hai Jada tension lene wali baat nahi hai lekin jab jarurt se jada pimple nikle to hmara face badsurat dikhne lagta hai.
Face se pimple kaise hataye?
Aksar pimple problem 20 to 40 years ke age wale ko hi hota h aur is age me sabhi log beautiful dikhna chahte hai.
Lekin hmari kuch galtiyon ke karan hum sundar nahi dikh pate hai aur hmara face kharab dikhne lagta hai.
Ab hum aage dekhte hai ki aese kon - konse reason hai jiske karan hume pimple problem ko face karna hota hai:-
👉 Face par gandgi hona jaise dust, soil etc.
👉 Hormones ka disbalance hona
👉 Bahut Jada medicine khana :- Jo apne aap hi thik ho sakta hai uske liye bhi hum medicine ka use karte hai jaise :- Headache
Waise females me pimple hone ka chance Jada hota hai.
जरूर पढ़े:- Agar aapko hangnail ki samasya hai to...
दांतो को मजबूत करने के सरल उपाय जरूर जाने।।
👉 Stress pimple ka ek bahut bda karan hai hmare face ko nahi balki pure body ko dull bna deta hai. Stress ke karan bahut jada pimple ho jate hai.
👉 Hereditary (अनुवांशिकता) ka bhi kafi effect parta hai. Agar mummy yaa papa me kisi ko bhi ye problem hai to iska effect bachhe par bhi parta hai.
👉 Oily food ka sewan karna bhi pimple ko badhata hai. So please dosto kosis kren ki oily food ka sewan na kren, aur karna bhi hai to kabhi kabhi kren, hmesa nahi.
👉 Aapke oily face ka hona bhi ek bahut bda reason hai.
Kya aapke sath bhi aesa hai?
Ab hum jaanenge ki pimple jaise problem ko aasani se hmesa ke liye kaise khatm Kar sakte hai?
Iske liye apko koi extra paisa kharch krne ka jaruri nahi hai balki ghar me uplabdh saman se hi pimple jaise problem se chutkara paa sakte hai.
To ab Mai apko kuch gheralu upay batane ja raha hun ki "Face se pimple ko kaise hataye ?" to please dhyan se padhe.
1. Nimbu ko nichor kar uska ras nikale usme thoda sa namak aur honey ( शहद ) milay ab ise pimple ke upar lgate jaay.
10 - 15 minute ke liye ise lgay rakhe fir halke garm paani se dho le.
2. Dudh aur gulabjal me thora sa haldi powder mix karke use pimple wale asthan par lgay.
7 din tak continue is paste ko lgane se aap is pimple problem se chutkara paa sakte hai.
3. Honey ( शहद ) ko pimple par 15 minutes tak lgay rakhe fir face ko kachhe dudh se masaj krke honey ( शहद ) ko hta de.
Ye upay karne se ek week me hi apke pimple gayab ho jaynge.
क्या आपने ये पढ़ा:- Effective home remedies for hair fall
4. Ek spoon honey , 1/2 sooon baking soda aur 2 spoon tomato juice bina seeds yaani बीज ke in sabhi ko achi tarah se mix Kar le aur pimple ke upar 10 - 15 minute lgay rakhe iske baad thande aur saaf paani se face ko dho le.
Dhyan de :- Agar apki skin sensitive hai to please ye upay na kren.
5. Fresh papaya ka paste bna le use apne face par 10 - 15 minute tak lga rehne de fir thande paani se face ko dho le.
Isse apko kafi rahat milega.
6. Garlic ke 2 daane aur ek long ka achi tarah se paste bna kar ready kar le fir us paste ko pimple ke upar hi lgay kuch hi dino me apke pimple khatm ho jaynge.
7. Pimple ko htane me jaamun ke बीज , nimbu aur जायफल kafi help karta hai.
Sbse phle to aap jaamun ke बीज ko sukha kar powder bna le tatha जायफल ka bhi achi tarah se powder bna le aur 1/2 spoon nimbu ka ras ab sabhi ka ek paste bna le fir is paste ko pimple ke upar lgay.
Ab is paste ko 10 minute tak face par rahne de fir face ko fresh water se dho ley.
Dhyan de :- Yadi apka face sensitive hai to iska use na kren.
8. Marich ke powder ko paani ke sath mix krke lgane se pimple ke problem me bahut rahat milta hai.
Yaad rakhe is paste ko tab tak rakhna hai jab rak paste face par sukh na jaay.
Fir face ko thande paani se dho ley.
9. Aloevera pimple se chutkara paane me kafi madad karta hai, aloevera ko face par lgane se face hmesa fresh fresh dikhta hai.
Aloevera lgane se kabhi pimple problem nahi hota hai.
Iske liye apko aloevera ka juice daily pina hoga. Aur pimple par 15 - 20 minute aloevera ke jelly ko lgay rakhe fir fresh water se dho le, isse pimple ka problem kabhi nahi hota hai.
Use continue kuch din tak lgate rahe. Aap khud apne face ko nikhrta hua paaynge.
Yeh ek natural and best remedy hai.
Ise aapnane se pimple se hmesa ke liye chutkara paa sakte hai.
Dosto ye post apko kaisa lga comment krke jarur btay. Ye post padhne ke liye aapka dil se dhanyawaad.
Post kaisa lga jarur btay ConversionConversion EmoticonEmoticon